| Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm |
| Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai |
| Zindagi aur kuch bhi nahin |
| Teri meri kahaani hai |
| Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai |
| Zindagi aur kuch bhi nahin |
| Teri meri kahaani hai |
| Ek pyar ka nagma hai |
| La la la |
| Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai |
| Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai |
| Do pal ke jeevan se ek umr churaani ha |
| Zindagi aur kuch bhi nahin |
| Teri meri kahaani hai |
| Ek pyar ka nagma hai |
| Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon |
| Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon |
| Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai |
| Zindagi aur kuch bhi nahin |
| Teri meri kahaani hai |
| Ek pyar ka nagma hai |
| Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai |
| Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai |
| Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai |
| Zindagi aur kuch bhi nahin |
| Teri meri kahaani hai |
| Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai |
| Zindagi aur kuch bhi nahin |
| Teri meri kahaani hai |
| Ek pyar ka nagma hai |