| Aaya hoon yaaron, dil apna deke | 
| Aankhon mein chehra, kisi ka leke | 
| Woh dil ka kaatil, dilbar hamaara | 
| Jiske liye mein, hua awaara | 
| Milte hi jisne, chooma tha mujhko | 
| Phir na palatke, dekha dobaara… | 
| Aur isis liye doston | 
| Maine faisla kiya | 
| Ke phir kabhi kisi se pyaar nahi karunga | 
| Kabhi kisi ladki ko apna dil nahi dunga… | 
| Aisa zakhm diya hai, jo na phir bharega | 
| Har haseen chehre se, ab ye dil daregaa | 
| Hum toh jaan dekar, yunhi mar mitey they | 
| Sun lo aye haseeno, ye humse ab na hoga. (x2) | 
| Aisa zakhm diya hai… | 
| Raseelay hoonth, chalakte gaal | 
| Mastaani chaal, buraa karde haal | 
| Palak phadke, ke dil dhadke | 
| Umar ki uthaan, kadakti kamaal. | 
| Kaatil ada, zaalim haya | 
| Mere Khuda, mere Khuda | 
| Shola badan, behka chaman | 
| Magar yaaron… | 
| Hum toh jaan dekar, yunhi mar mitey they | 
| Sunlo aye haseeno, ye humse ab na hoga. | 
| Aisa zakhm diya hai, jo na phir bharega | 
| Har haseen chehre se, ab ye dil daregaa | 
| Hum toh jaan dekar, yunhi mar mite they | 
| Sun lo aye haseeno, ye humse ab na hoga. | 
| Aisa zakhm diya hai… | 
| Raseelay hoonth, chalakte gaal | 
| Mastaani chaal, buraa karde haal | 
| Palak phadke, ke dil dhadke | 
| Umar ki uthaan, kadakti kamaal. | 
| Kaatil ada, zaalim haya | 
| Mere Khuda, O mere Khuda | 
| Tu jo kahe toh taaron mein tujhe lekar chaloon | 
| Tu jo kahe toh kadmon mein unhe laa daal doon | 
| Seene se lagaake, ye badan kar doon gulaabi | 
| Chehra choom kar ke, mein banaadoon aaftaabi | 
| Heyyy… hey… la la la la. laa. | 
| Hum toh jaan dekar, tumpe mar mitey hain | 
| Kaun pyaar tumse, itna karega. | 
| Aisa zakhm diya hai, jo na phir bharega | 
| Har haseen chehre se ab ye dil daregaa | 
| Aisa zakhm diya hai… | 
| Aaya hoon yaaron, dil apna leke | 
| Aankhon mein chehra, kisi ka leke | 
| Koi na koi, mera bhi hoga | 
| Yahi pe kahi, chupaa hi hoga. |