| har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho -2 |
| agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho -2 |
| har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho |
| hukumatoN ko badalnaa to kuchh muhaal nahin -2 |
| hukumatein jo badaltaa hai vo samaaj bhi ho -2 |
| agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho -2 |
| har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho |
| rahegi kab talak vaadoN mein qaid Khush-haali -2 |
| har ek baar hi kal kyuN, kabhi to aaj bhi ho |
| agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho |
| har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho |
| na karte shor sharaabaa to aur kyaa karte -2 |
| tumhaare shahar mein kuchh aur kaam kaaj bhi ho -2 |
| har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho |
| agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho |
| Tell A Friend |